Sunday, February 8, 2009

DIL SE


us raat jo baesa tha saawan

ye mann tab naach na paya tha

main tanha akela roya tha

mere saath na mera saaya tha


woh barish aag ki barish thi

jo mere maazi ko cheer gayi

kuch lamhe kaid the janjeeron mein

unko aazaad vo chhod gayi


vo lamhe jinse main haaraa tha

vo baatien jinhone mujhe maaraa tha

vo baarish mujhse jeet gayi

kaid ateet ko mujhse kheech gayi


main roya tha us barish mein

jb aag aur aansoo ghule the

main roya tha us barish mein

jab saare bandhan khule the


bijli ko jab maine nazron se apni bandha tha

un jalti boondon ko jab main hothon pe lekar bhaga tha

ashkon se jab maine teri tasveer banayi thi

jab maine maazi ko ek chup si pukar lagai thi


ab to vo raat beet gayi

barish ki aag bhi sookh gayi

par meri aankhon mein vo barish

ab bhi tham tham kar barasti hai


zindagi poori hai

phir bhi jaane kyun tarasti hai


in ashkon ke sagar mein tum

kabhi sahil bankar aao naa

meri laharon ko chattanne do


mujhe gir ke samhalna sikhao naa......................................


(i never knew that there is so much in me,so much intense that i too got blown away.

i was jst a champu yaar,

like suri sirji punjab power.

yahaan to dil k andar ek "shayar badnaam" rehata hai


well mil k achchca lagaa

umeed hain hum milten rahenge)

No comments:

Post a Comment