Friday, August 13, 2010

"MAIN AUR PIGHALTA CHAAND"

main coffee aur pighalta chaand,
ek saath chat par bore hote hue,
sochte hain bas yahi,
kaun kiska anjaam dekhega,

yaa chaand pighal jayega,
yaa coffee khatm ho jayegi
yaa main so jaunga,
har koi khud mein adhura sa
poora saath dete,ek doosre ka,

bina doodh ki coffee
jise doodhiya karti chaadni,
tanha chaand ko behlate mere gardish ke sitare
aur mujhe jagati ye kaali coffee,
ek doosre ki tanhaiyan baatte,

is sooti duniya par haste hum teen,
kyonki savere ye duniya hum par hasegi,

par kya karoon agar raatein mera savera hain,
aur do raaton ke beech ye din akela hai,
jaise do ghaaton ke beech patli si dhaara,
ghaat nahi chalte,dhaara badh jaati hai,
dhaara badh k samandar se mil jaati hai
ghaat,ghaat hi rahtein hain
dhaara samandar ban jaati hai,

par gar samandar hi anjaam hai,to sanshay kaisa?
na kinaare,na mod,naa baandh,
apni leharon se khelna,
khud ko doobana ubaarana,
bina bandisho ke jeena,
aur jeene ke liye bandishe laagh jaana,
khud ko todte jodte rehna,


aur coffe khatam ho gayi,
bache bas main aur chaand,
coffee ke gum mein khoye hue
par coffe to samandar ban gayi
mujhe chaaand ke sahare chhod kar
meri neend mein ghul gayi

aur chaand akele cgalta rahta hai
kuch der rukta hai meri khidki par
peepal par baith kar
sustata hai aur hum baatein kartein hain
afsaano ki,sachchai ki
meri coffee ko vo dudhiya banata hai
phir chaltein hain hum dono apne raste

main khayaalon mein vo aasmaano mein
vo poochta hai haal sawaal saal dar saal,
main use kori daleelon se bahlata hoon,
aur phir din ho jata hai

aur main so jata hoon
aur main so jata hoon................

No comments:

Post a Comment