Monday, September 28, 2009

नशा और प्यास


vo nashaa nason mein ghulta hua,

vo parat parat gahrata dhuan,

kuch paimane,kuch maikash,kuch kash,

aur mere anokhe afsane,


neend bhi mujhse ladti hui,

main neend se aankh churata hua,

main girta hua uth jata saa,

main chalte hue ruk jata sa,


mere humrahi toh ab shahron ki galiyon ki khuraak hue,

ik main hi hoon chalta hua,

ik main hi hoon chillata hua.


ye andhera jaane mujhko ab kaun si raah dighayega,

kya main jaoonga sahil tak,

yaa sahil mujh tak aayega,

ye pyaas ka chakkar hai pyaare,

sahil bhi ye pi jaati hai,

kuch bachta nahi ik ghum k siva,

aur tishnagi hi rah jati hai'

aur tishnagi hi rah jati hai........................

बुझती रात


ek aas jagi phir sholon mein,

jo raakh mein chup k baithe the,

jo marte marte jeete the '

aur jeete jeete marte the,


kaaali si raat thi aankhon mein,

ashkon ka beheta dariya tha,

jaane kisne saahilon pe ,

kajal ke jahaaj duboye the,


apni bhi fiza anokhi thi,

baharon se lad k baith gayi,

un baagon mein bastiyan khili,

jahan phoolon ne gulshal khilaye the,


dheere dheere dhudhlata dhuan,

aahista se vo chathata shor,

nagin si jhulfein,patli kamar,

aur najron ka na koi chhoor,


kaale dil gore chehere the,

jo dil ki jubaan pe behere the,

hamne bhi naa koi baat kahi,

hothon pe itne pehere the