tum aaene ki aaraish mein jab khoi hui si thi,
khuli aankhon ki gahri neend mein soi hui si thi,
tumhein jab apni chahat thi,
mujhe tumse mohabbat thi,
tumhare naam ki khushboo se jab mausam sawarte the,
farishte jab tumhare raat din lekar utarte the,
tumhein paane ki hasrat thi,
mujhe tumse mohabbat thi,
tumhare kwaab jab aakash ke taaron mein roshan the,
gulaabi akhdiyon mein dhoop thi,aanchal mein saawan the,
bahuton se rakabat thi,
mujhe tumse mohabbat thi,
tumhara khat mila,
main yaad hoon tumko,
inayat hai,
badalte waqt ki lekin har dil pe hukumat hai,
vo pehle ki haqiqat thi,
(its a poem by nida faazli,one of the best shairs of modern india)
No comments:
Post a Comment