vo nashaa nason mein ghulta hua,
vo parat parat gahrata dhuan,
kuch paimane,kuch maikash,kuch kash,
aur mere anokhe afsane,
neend bhi mujhse ladti hui,
main neend se aankh churata hua,
main girta hua uth jata saa,
main chalte hue ruk jata sa,
mere humrahi toh ab shahron ki galiyon ki khuraak hue,
ik main hi hoon chalta hua,
ik main hi hoon chillata hua.
ye andhera jaane mujhko ab kaun si raah dighayega,
kya main jaoonga sahil tak,
yaa sahil mujh tak aayega,
ye pyaas ka chakkar hai pyaare,
sahil bhi ye pi jaati hai,
kuch bachta nahi ik ghum k siva,
aur tishnagi hi rah jati hai'
aur tishnagi hi rah jati hai........................